Saturday, 22 April 2017

2 Beautiful poems - guest post

Today is a guest post 

I am sharing 2 beautiful Hindi poems, written by my friend - Hiral Somaiya's wife - Vinita Somaiya

I loved them so much it felt right to share them with a larger audience. You can visit her blog for more of her work 

EK AISA DAUR....

Itefaaq ke kisson mein ek kissa aur bhi hoga..
Hum tum milenge, ek aisa daur bhi hoga....

Us daur mein na hogi parwah zamane ki
Na pyaar ko chupane ki, na pyar ko bhulane ki.

Na hogi yeh bebasi, na hogi majburiyan
Na honge yeh faasle, na hogi yeh dooriyan.

Itefaaq ke kisson mein ek kissa aur bhi hoga....
Hum tum milenge, ek aisa daur bhi hoga....

Na honge hum tum ajnabee, ek dusre ko jaankar
Na muh pher lenge yoon, ek duje ko pehchankar.

Jazbaat yahi honge, par na hogi jhooti kasmein.
Honge pakke irade, na rokengi yeh zamane ki rasmein.

Itefaaq ke kisson mein ek kissa aur bhi hoga....
Hum tum milenge, ek aisa daur bhi hoga...

Jaha kuch ankaha bhi reh gaya, toh wo ansuna na hoga.
Na galatfemiyon ki aag hogi, na ranjisho ka dhuan hoga.

Na yeh shikwe, na gile, na hogi aham ki deewarein;
Koi teesre ke liye jagah ban jaye, na hogi aisi darrarein.

Itefaaq ke kisson mein ek kissa aur bhi hoga...
Hum tum milenge, ek aisa daur bhi hoga...

Bheed mein is kadar na honge hum tum akele, 
Na hogi waqt ki pabandiya, na duniya ke jhamele.

Wo waqt bhi hamara hoga, hogi apni takdeerein.
Jab saath na chodengi yun haathon ki lakeerein.

Itefaaq ke kisson mein ek kissa aur bhi hoga...
Hum tum milenge, ek aisa daur bhi hoga...

Yun milenge hum tum, jaise khoya hua khazana mil jaye.
Ek bhatke hue musafir ko, maano thikana mil jaye.

Us daur mein, "main" aur "tum" kuch is tarah "hum" ho jayenge.
Saare wajood bikhar jayenge, kuch aise karam ho jayenge. 

Itefaaq ke kisson mein ek kissa aur bhi hoga...
Hum tum milenge, ek aisa daur bhi hoga.....


KYA KAHIN AISA SHEHER BHI BASTA HAI

Kya kahin aisa sheher bhi basta hai,
Jahan har gali mein, har bacha hasta hai?

Jahan na bhookh ki fikr, na pyaas ka dar,
Jaha na sirf har ghar mein, par har dil mein khuda rehta hai.
Kya kahi aisa sheher bhi basta hai?

Jaha sardi ki kadakti raat mein, koi badan na nanga ho. 
Jaha dharm aur jaat ke naam pe kabhi na koi danga ho.
Jaha kisika dukh dekhdar dil hasta nahi, sisakta hai.
Kya kahi aisa sheher bhi basta hai?

Jaha chal karne mein insaan ka zameer jijakta hai,
Jaha mehenge hai jazbat, aur imaan na itna sasta hai!
Kya kahi aisa sheher bhi basta hai?

Jaha kisi ka dard dekh kisiko neend nahi aati,
Jaha insaan ki insaniyat hai phir jaag hati,
Jahan insaan ki seva hi jannat ka rasta hai!
Kya kahi aisa sheher bhi basta hai?

Ek aisi duniya, jisme duniyadaari nahi,
Jaha bhookh nahi hai, laachari nahi!
Daulat ki lalsa nahi, dhan ki khumari nahi,
Jaha insaan ko insaan manna hi rab ka sadqa hai!
Kya kahi aisa sheher bhi basta hai?

Le chalo mujhe, agar kahin aisa sheher bhi basta hai...
Haan, shayad is duniya se pare uska rasta hai.....

Hope you enjoyed them as much as i did. 

Much Love
Alpa